DIL
Jab bhi yeh dil,
Rota hai
Ghum ke mausam me,
Khushiyon ke pal bhi
Khota hai
Maanta nahi hmari,
Bs apni hi kiye jata hai
Hamare sapno ko.!
Yeh apne aap hi,
Sanjota hai
Jane.. Essa kyu hota hai
Ghum ke mausam me,
Khushiyon ke pal bhi
Khota hai
Dil aakhir tu kyu
Rota hai..?
Dilo me nafrat ki
Diwaare,
Kyu krta hai
khaddi...
Yaha bohot kam hai,
Insaan ke pass jine ki
Ghaddi...
Toh aa.! Ghum ko bhula k
Phir muskuraa le,
Jo tujhse pyar krte hai
Unhein sinne se lga le,
Fikr kr! tu unki jo tere
Saathi hai
Abhi toh shuruvaat hai,
Zindagi ki
Jane.. Kitni khushiyaan aur aani baaki hai...
कोई टिप्पणी नहीं: